Khubsurat hai Tu
Tera Dil , ye dhadkan
Khwabon Si
Khayalon se milti yo manzil
Hata ke dekh vo Manzar
Ki parda hata toh suraj chamka hai
Chamki hai teri aankhon ki ye ada
Par kyun der se aaya tu ?
Kya Kuch fer ke laya Tu !?
Haan laya hoon, teri kismet !
Haan laya hoon teri aahat !
Ki jab Tu Kadam rakhegi
Toh dhua uthega !
Jab saans bharegi
Toh sama bandhega !
Jan hai tu
Dunya ke taj ka samman hai tu
Tu rang hai, tu dhang hai, tarang hai
Ek jashan hai!
Tu aan hai, jaan hai , shaan hai
Is Jahan ki maan hai
Tu khas hai
Ye saaz hai
Isawar ka nayab raaz hai
Tu khas hai !
Is liye ye Samay ka saaz hai
Usne tujhko pakka Kiya hai
Ye pakki bunyad hai !
Chalna hai tujhe bahut
Ghisna hai, dikhna hai
Aur dikhana hai Har dum!
Hoslon ko samana hai
Logon ke dil main josh jagana hai
Aana hai, chana Jana hai
Kyunki, tu khubsurat hai !
Dil se, man se, vachan se !
Isliye suraj thodi der se jaga hai
Par ab jaga hai to bharpur jagmagaya hai !
No comments:
Post a Comment