kyun ye maddham sansen tumhe aaj bhi dhundhti hai
tham jana bilkul nahi chahti ye aaj bhi ghumti hai
ruki thami si baaten khayalon ko chu jati hai
na chake bhi yaad aati hai
teri har vo baaten, teri har vo yaaden
chahe anchahe main bhi chahti hoon,
fir kyun tujhko thukrati hoon
dekha hai mene teri haaton ki lakiron ko
lagta hai meri hi lakiren hain vo
main haira hoon thodi paresha hoon
itna sab kyun milta hai tujhse
haath, lakiren, khwahishen, takdiren
tu kahi vo hi toh nahi
ek hissa mera hi kahin
janna chahti hoon tujhe aur
kese samajh le ta hai tu meri har saur
tu hamesha yun hi rehena
main kahun ya na kahun
tu hamesha mera dil sunna
main toh bavli buddhu hoon
itna nahi samajhti hoon
tu batana, mujhe samjhana
abhi nahi toh kabhi aur sahi
teri aankhon ko janungi
teri har raah pehechanungi
abhi nahi toh kabhi aur sahi
abhi haira hoon thodi paresha hoon
ki itna sab kyun milta hai tujhse
haathon ki lakiren ye khwahishen ye takdiren.
No comments:
Post a Comment