"Badlav zindagi ka niyam hai par is badlav main insan krud ho jaye ye uski haar hai"........ Vriksh pe jab fal lagte hain toh vo chukta hai, ye vinamrata ka pratik hai. Uske vinamr bhav se khush hoke use aur bhi falne fulne ki duayen milti hain. Par jo nahi jhukta, ahem main bhar jata hai vo tut jata hai aur tut jate hain usse jude rishte....... Always Stay grounded ! ... aacha dil aur saccha dil usi se pata chalta hai.....
Sunday, July 6, 2014
Badlav....

Sunday, June 22, 2014
Kuch yunhi.........
zindagi milti hai toh didar bhi ek hi baar hota hai
Friday, June 20, 2014
Ufff Ye Iraq.....:-p
Uff ye padhai,
samajh nahi aai,
iraq ki ladai me main thak gai bhai,
mera kya lena dena samajh nahi aaye...
mene toh mast patang socha tha,
main toh dhage main hi fans gai, haye,
Uff ye padhai,
kabhi samajh nahi aai....:-p
---------------
Note :- Jab har roz Iraq padhna pade tab yun lagta hai jese kambhakt kya esa hona zaruri tha...!!...Na hota bans na bajti bansuri aur na hi milta iraq ka dekhne ko ye nazara. Chahti hoon vahan sab thik ho jaye, bahal, khushhal ho jaye.....& i know ye padhna meri hi bhalia ke liye hai :-) so thanks & my sincere regards.
Wednesday, June 11, 2014
Zindagi ka Bahaw
Aaj zindagi dubti dekhi mene,
Khwahishen tootti dekhi mene,
Khushiyan palbhar main matam banti dekhi mene,
Khilkhilahat ruasi main tabdil hoti dekhi mene,
Zindagi maut ka vo manzar,
Jhunjhala jata hai dil ko,
Vo chaubis zindagiyan,
Rula jati hain man ko,
Socha tha zamana dekhega,
Lekin yun dekhega ye na pata tha,
Ki astitva bhi nazar nahi aayega tera,
Kya pata tha tu yun chala jayega mera,
Maa ki aans, maa ki pyas,
Roi aaj fut-fut ke,
Ki kaash na jane deti tujhko,
Kash fir se tham leta tu mujhko…..
Zindagi fir se aa
lautkar,
Yun na ja tu chorkar,
Saanse ruki hai teri hi aas main,
Nazren thami hain teri hi pyas main,
Tham le mujhe ek baar fir,
Fir na jane dungi tujhe kabhi kisi raaste,
Zindagi ro-ro kay yun kho jayegi,
Saanse chad-chad ke fir tham jayengi,
Kash main bhi chalti tere hi saath,
Fir na gam hota, na aasss………..
Subscribe to:
Posts (Atom)