Showing posts with label love. Show all posts
Showing posts with label love. Show all posts

Saturday, August 5, 2017

Kya tujhe maalum bhi hai........

Kya tujhe maalum bhi hai,
Ishq se pehele aur baad ki ye karvaten,
Chadaron main lipti ye silvaten,
Uljhi si zulfon main suljhi si hasraten,
Didaar karti hain tera,
Jese tham gaya ho har lamha mera,
in silvaton main jese bas gaya ho har sapna tera,

Aankhen band karke sama loon tujhe,
Tujhi se yun chura lun tujhe,
Nazren jhuka ke saanson main basa lun tujhe,
Ki so na pai hoon, kho na pai hoon,
aakhen band karke yun bula lun tujhe,

is haal main yun raakh na ho jaun,
Is shammo-hava main yun khaak  na ho jaun,
Ki baahon main basa le mujhe,
Apni aagosh main sama le mujhe
Chupa le mujhe, Is zamane se chura le mujhe....
Ki ye Ishq se pehele aur baad ki karvaten tujhe maalum bhi hain...?


Wednesday, May 25, 2016

Kaash...

Kaash tu mere paas hota,
Teri aankhon main aankhen daal yunhi pi jati,
Kaash tujhe chu pati,
Toh tere jism se ruh tak pahunch jati,
Phir tu yun hi muskurata aur main ek ho jati.....

Tuesday, March 8, 2016

Yaaden...

Ashkon main behe gaye jo ansu yaad na rahe,
Dil main sote sote utre vo khwab na rahe,
Darmiya is pagalpan ka dushvar na rahe,
Rahe toh bas ehesas yaar ka, pyar na rahe.....


Monday, March 7, 2016

Din Raat....

Bhor hui aur suraj chand sa chamka,
din main sitaron ko aaram sa damka,

Ek koyal kuhu ke raag sunai,
javani bhi thitkhol ke sehelai,

Nindiya jaja, sajna aaja,
aake aankhon main bar aai,
par na aaya hai na aai vo parchai,

Aks dekh dekh aaina kaanch ho gaya,
vo surur bhi raakh ho gaya,

Phir se koyal ne aavaz lagai,
so ja pagli ab raat chad aai....


Kabhi Kabhi......

Kabhi khush the hum kabhi nam hai aakhen,
Dastoor insano ka kya khoob nibhake,
Pyar ki kashti main dam lagake,
Baithe hain hum zara gaur farmake.....


Tuesday, May 26, 2015

Chahat....

Chahte toh bahut hai hum tujhe magar jo hua andaza na tha,
Manga bhi kya humne tujhse ki hamara zamir tak chupa dala.

Yun na rehe sakenge gumnam hokar hum, ki tune toh khud ko aabad humko badnam kar dala.
Rahen ek baar phir aazad hokar hum ki teri chahat se aabad ho payen malum nahi.
Magar teri chahat pe barbad hona bhi makbool nahi.
Ji lenge tujhe yun hi mehesus karke magar meri chahat par dag ho ye kubul nahi.

Chahte toh bahut hai hum tujhe magar jo hua andaza na tha,
Manga bhi kya kuch tujhse ki hamara zamir tak chupa dala.



Sunday, June 22, 2014

Kuch yunhi.........


Pyar ek hi baar hota hai, ikraar ek hi baar hota hai, 
zindagi milti hai toh didar bhi ek hi baar hota hai