Saturday, February 21, 2026

Darpan

 Tune kya dekha hai khudko, mujhko 

Darpan ke aaine main panapti, Dhadkan ko 

Nazren jhukati taktaki lagati un Nazron ko

 dekhati Hain Tujhko, mujhko 

Ki ek hi Hain ehesas dilati Hain humko !


Teri nazron ne Mujhe pehechana  hai 

Dhadkan  ne sab kehe dala hai 

Kese samajh liya maine 

Ye Abhi bhi anjana hai ! 

Darpan Sa hai

Palbhar Sa hai 

Ki tinka girte hi chanbhar Sa hai 

Leheron main kho gaye us aks Sa hai 

Par phir bhai dikhta Ek shaks Sa hai ! 


Jab ye Leheren rukengi 

Aur Sama thamega 

Tab aks dikhega 

Tera ! mera ! 

Ki vo Ek hi hai 

Vahin hai ! 

Hamesha 

Bas is man Ki halchal hai 

Bas Bahar ka chanchal hai 

Vo aks hai jo adig hai 

Vo saksh hai Jo abhig hai 

Vo nazren hain Jo atik hain 

Kya Tu aur main, Amit hain !? 


Pata hai bas ji rahe hain 

Pata hai bas pi rahe hain 

In nazron Ki Chahat ko 

Apni apni zindagi main ji rahe hain

 is aahat ko

Ki Dil ko pata hai vahi hain ! 

Dhadkan ko pata hai Sahi hain! 

Ki Tu asks hai mera

Tu hi Saksh mera , main Tera 

Jo darpan Mai hai 

Kya vahi Sahi hai !!?

Kya sach yahi hai !!??

Thursday, February 12, 2026

Khubsurat

 Khubsurat hai Tu 

Tera Dil , ye dhadkan 

Khayalon se milti yo manzil 

Ki parda hata toh suraj chamka hai 

Aur chamki hai teri aankhon ki ye ada 


Par kyun Tu der se aaya hai ?

Kya Kuch fer ke laya hai!?


Haan laya hoon, teri kismet !

Haan laya hoon teri aahat !

Ki jab Tu Kadam rakhegi 

Toh dhua uthega !

Jab saans bharegi

Toh sama bandhega !


Jan hai tu, jahan hai Tu

Dunya ke taj ka samman hai tu 

Tu rang hai, tu dhang hai, tarang hai 

Ek jashan hai! 

Ki Tu aan hai, jaan hai , shaan hai 

Is Jahan ka maan hai 


Tu khas hai !

Ye saaz hai !

Isawar ka nayab raaz hai,

Ki TU khas hai ! 

Is liye ye Samay ka saaz hai !


Usne tujhko parkha hai, darka hai , patka hai ! 

 pakka Kiya hai

Ye pakki bunyad hai !


Ab tujhe chalna hai  

Banda hai, ladna hai 

Aana hai, aur chana Jana hai 

Kyunki tujhpe, haat hai 

Ishwar ka aashirvad hai 

Tujh main kuch baat hai 

Ki Tu kuch khas hai ! 

Dil se, man se, vachan se !

Ek khubsurat Sa eahasas hai 


Isliye suraj, thoda der se chamka hai, 

Par ab chamka hai to bharpur damka hai ! 





Saturday, January 31, 2026

Haan hai !

Haan tujhe pyaar hai 

Aankhon ka karar hai 

Aankhen jhuki Toh Tera hi didar hai 

Tu gumsum taiyaar hai 

Haan tujhe pyar hai! 


Nahi bholungi vo pal, jahan tera iqrar hai ! 


Yaandon main kho gaye ho

Khayalon se ho gaye ho 

Ki man nahi karta ab jane ka 

Sapno Sa lagta hai tu zamane ka 


Haan bol dun Toh khul jaungi 

Tujhe seene main chipake rul jaungi 

Chupa ke rakhna chahti hoon tujhe 

Abhi thama ke rakhna chahti hoon tujhe 

Ki zamane ka bhi Toh Dar hai 

Armano ka bhi Toh ghar hai 

Khudi ko rokti hoon tujhse, khudse

Ki pata hai Tu haan hai 

Ki bas mere Ek ishare par thama hai ! 

Ki pata hai tu haan hai 

teri Dil se dua hai !

Saturday, July 3, 2021

Kafi hai

bahut khubsurat the vo pal jo tumhare saath guzare

ki aaj bhi is ghar main tumhari khushoo mahekti hai 

darvaze ki ghanti kaano main khankti hai 

tumhara ehesaas ,vo saans, har ek kone main hai 

sofe palang har pal ke sone main hai 

tumhari vo baaten, haseen mulakaten

sab yaad hai mujhe 

har pal ka ehesaas khaas hai mujhe

ki pyar hai mujhe

shayad ye ehesaah hi kafi hai 

ki tum ho yahan meri har saason main

meri har yaadon main

ki tumne itna pyaar kiya hai muje, ye paar hi kaafi hai

ye ehesaas hi kafi hai


 

Khayal Rakhungi ..!!

haan main khayal rakhungi apna, apne aap ka 

haan main khayal rakhungi har us baat ka

haan, main khyal rakhungi ....!!

ab main hi toh hoon, phir se, apne aap main

is baar sada dhyan rakhungi 

haan main khayal rakhungi

khubsurat thi vo baaten, yaaden, mulakaaten

sab sambhaal rakhungi 

haan main khayal rakhungi

apne dil ka is dhadkan ka ab dhyan rakhungi

khyal rakhungi

tum bhi khyal rakhna

apna, dil ka aur har us ehesaas ka,

main bhi dhyhan rakhungi , khyal rakhungi




Sunday, May 30, 2021

Ey panne

Ey panne tu palatna mat

ek khubsurat si kahani likhi hai usne 

tu badalna mat, palatna mat

kaash ki ye kahani is panne main hi aa jaye

aur kitab band ho jaye

ey panne tu hilna mat

kahin likhavat bigad na jaye

ey panne tu simatna mat 

kahin shyahi bikhar na jaye 

samet lena har ek akshar,

har ek baat,

har ek jazbaat ko

ki bas ye panna kabhi khatam na ho paye

aur vo saari kahani isi pe likhta jaye

bas... ey panne tu palatna mat 

kyunki ke khubsurat si kahani likhi hai usne, 

tu hilna mat, badalna mat, simatna mat, palatna mat







Mujhe ishq hai

Mujhe ishq hai tumse, 

tumhare is dil se, 

dhadkan se, 

saans se, 

alfaz se,

Mujhe ishq hai tumse,

tumari baat se,

paar se,

ehesaas se,

mujhe ishq hai tumhare har ek andaaz se,

ishq hai tumhari nazron ke aabhaas se,

haan mujhe ishq hai, tumhare is pyar se.  

Saturday, May 29, 2021

Sharmana

 Mujhe sharam aati hai,

Tumhara mujhe yun khule aam dekhna,

Yun mere baalon, mere gaalon se khelna,

Mujhe sharam aati hai tumhare alfazon se mere dil ka dhadkana,

Meri sanson ka tez ho jana,

Aankhon main khushi ki nami aa jana,

Mujhe sharam aati hai tumhara mere saath yun bebaak ho jana,


Mujhe sharam aati hai tumhara  mujhe yun dekhke sharmana, 

Mujhe dekhke yun muskurana,

Tumhare chune se mere alfazon ka kho jana,

Mujhe sharam aati hi tumhara yun paas aana, 

Aankhon ka milna aur dil main utar jana,

Tumhare lobon se mere labon ka yun takrana, 

aur sharamohaya kho jana, 

aur kahin dur apni duniya basana

aur phir ab kya sharmana...!!

Thursday, May 27, 2021

Dohrahe

 dohrahe pe khadi hoon ki tu ajnabi hai ab

vo aankhen, vo chahna, vo dil ka sehelana 

sab khatam hai ab

dohrahe pe kahdi hoon ki tu ajnabi hai ab

Wednesday, May 26, 2021

Muskurahat

 

vo yun muskurai,
ki saans chad aai,
dil main samai,
aur muskurhat, labo pe khil aai,
aahista aahista dil main utar aai,
aur phir barish banke barsai,
aur khayalon ko cho aai,
phir dekhte hi dekhte, shaam dhal aai
aur phir se vo yun muskurai
ki saans chad aai.....

Pyar ki barsat

vo mausam ki trah aai,
baadal ki trah chai,
vo hava ka jhonka bankar,
galo se takrai,
aur chehere par yun muskurahat aai,
ki ab chupaye nahi chupti hai,
uski saundi si khshboo,
hataye nahi hatti hai hi,

aankhen band kar lun,
toh nazron main aa jati hai,
dil, dimag, har ek ehesaas main cha jati hai,

ki teri ye sharmili si ada,
tip-tip karke baras ne ki ye ghata,
ye saans, ye pyas, ye machalta sa andaaz,
aur beshumaar eshesaas,
ki intzar hai mujhe, tere pure barasne ka,
kab tu cham se barsegi,
aankh kholun, toh kya thodi der theheregi.?
ye hawa, ye saan,
thoda ehesaas toh le lun,
ki phir pata nahi, kab hogi ye barsaat,
aabhas toh le lun,

intazaar rahega bepanha,
tere barasne ka beintaha,
tab tak pyas toh le lun,

isi ehesas main hi ji lenge
isi pyas kio pi lenge.
ki intazar rahega tere aane ka,
badal ki tarah, phir se chahne ka....





Samjhota

Ye samjhota hai mera ishq se, 

ki jab aaye, toh toot ke aaye,

varna yun hi tham jaye, 

kyunki ab himmat nahi hai, is dil main utni takat nahi hai, 

ki sambhaal paye khudko, is taklif se fir utha paye mujhko,

isi liye ye samjhota apne aap se kiya hai, 

ki e pyaar tu jab aaye,  toh tootke aaye, 

varna yun hi bikhar jaye. 



Ehesaas

Pyar hua hai, ya hone laga hai,

dil ko chua hai, ya dil khone laga hai,

aavargi main tu, apna hone laga hai,

ye hi toh dar hai, ki ehesaas hone laga hi,


kyun yun saanosn main cha gaya hai, 

in eshessson main cha gaya hai,

jaanti hoon ye bas lamha hai 

tutega, toh sab tanha hai,

fir bhi aane lagi hoon, tujhko yun chahne lagi hoon

khwahishon ke samandar main, doob jane lagi hoon

ki tu hai vo shayad ek eshesssa, jise ab samane lagi hoon

pata hai kho jayegaa, fir bhi aazmane lagi hoon

raatoon ki neend, din ka chain, sab lutane lagi hoon

ki darti hoon, shayad; tujhe chahne lagi hoon


Tu hi bata ye pyar hai, ya hone laga hai,

ya ehessas hai, jo dil khone laga hai.




Saturday, May 9, 2020

Maa ka pyar

maa ka aanchal pyar bankar jab barasta hai,
aacha lagat hai,
jab tu pyar karti hai
toh saccha lagta hai.
sari fikr sari pareshaniya dhua ho jati hi
jab tu pyar se muskurati hai.

aur jab hum tut jate hain
tu hausla bhandhati hai .
har koshish main yun saath aa jati hai.
ki sahi raasta dikhati hai
ki aacha lagta hai
ek tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

tu jagati hai, sulati hai, khana bi khilati hai
hamare sare nakhre uthati hai,
na maane pe ek bhi lagati hai
par hamare bhale ke liye hi samjhati hai
aur fir khud bhi ro jati hai
na maa, aacha lagta hai,
kyunki tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

jab din se raat ho jati hai
teri hi yaad aati hi
har thakkan ki ah main
teri hi lori goonj jati hai
ki vo pyar se sehelati apni god main sulati
aur saari thakan cho mantar ho jati.
aacha lagta hai maa
kyunki tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

ki hum toh hamesha chote hi rahenge
tere saamne muh phulake yun rote hi rahenge
sari baaten tujhe bolenge,
kyunki sab savalon ke javab tu hi toh hai
din aur raat tu toh hai
har mushkil ka hal, har baat tu hi toh hai
tu hai toh sab hai tu nahi toh kuch nahi
maa
kyunki aacha lagta hai maa
tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai maa.








Saturday, August 5, 2017

Kya tujhe maalum bhi hai........

Kya tujhe maalum bhi hai,
Ishq se pehele aur baad ki ye karvaten,
Chadaron main lipti ye silvaten,
Uljhi si zulfon main suljhi si hasraten,
Didaar karti hain tera,
Jese tham gaya ho har lamha mera,
in silvaton main jese bas gaya ho har sapna tera,

Aankhen band karke sama loon tujhe,
Tujhi se yun chura lun tujhe,
Nazren jhuka ke saanson main basa lun tujhe,
Ki so na pai hoon, kho na pai hoon,
aakhen band karke yun bula lun tujhe,

is haal main yun raakh na ho jaun,
Is shammo-hava main yun khaak  na ho jaun,
Ki baahon main basa le mujhe,
Apni aagosh main sama le mujhe
Chupa le mujhe, Is zamane se chura le mujhe....
Ki ye Ishq se pehele aur baad ki karvaten tujhe maalum bhi hain...?


Saturday, June 18, 2016

Anjuman...

Kiske piche baag rahi hoon,
Kyun anjuman main jhaank rahi hoon,
Kaun hai apna kaun paraya,
Kyun dil hi dil main aas rahi hoon,
Kiske piche baag rahi hoon,
Kyun anjuman main jhaak rahi hoon...

Wednesday, May 25, 2016

Kaash...

Kaash tu mere paas hota,
Teri aankhon main aankhen daal yunhi pi jati,
Kaash tujhe chu pati,
Toh tere jism se ruh tak pahunch jati,
Phir tu yun hi muskurata aur main ek ho jati.....

Monday, May 23, 2016

Duniya...

Ye kesi ban padi hai duniya,
Ajib anjano si khadi hai duniya,
Khabren toh bahut hai,
Par asli khabar nahi hai,
Masle bhi bahut hai,
Par mukkaddr iqtla nahi hai,
Kashmakah main yun hi dub gaye hain,
ki kya pata vo mumkin hai bhi ya nahi hai,
Ye kesi ban padi hai duniya,
Ajib anjano si khadi hai duniya...

Kismat...

Kya likha hai humne kismat ke darvaze main,
Aane vale pegaam ki har raah ke andaze main,
Kismat ke maikhane main lajavab khwahishen hain,
Is lapata galiyon ki kya pata farmaishe hain,
Roz Roz uthte phir yahi sochte aaiye hain,
Ki kya pata,
Ye Kismat ke darvaze ya khidkiyon ke aaine hain...

Tuesday, March 8, 2016

Yaaden...

Ashkon main behe gaye jo ansu yaad na rahe,
Dil main sote sote utre vo khwab na rahe,
Darmiya is pagalpan ka dushvar na rahe,
Rahe toh bas ehesas yaar ka, pyar na rahe.....