Monday, May 23, 2016

Duniya...

Ye kesi ban padi hai duniya,
Ajib anjano si khadi hai duniya,
Khabren toh bahut hai,
Par asli khabar nahi hai,
Masle bhi bahut hai,
Par mukkaddr iqtla nahi hai,
Kashmakah main yun hi dub gaye hain,
ki kya pata vo mumkin hai bhi ya nahi hai,
Ye kesi ban padi hai duniya,
Ajib anjano si khadi hai duniya...

Kismat...

Kya likha hai humne kismat ke darvaze main,
Aane vale pegaam ki har raah ke andaze main,
Kismat ke maikhane main lajavab khwahishen hain,
Is lapata galiyon ki kya pata farmaishe hain,
Roz Roz uthte phir yahi sochte aaiye hain,
Ki kya pata,
Ye Kismat ke darvaze ya khidkiyon ke aaine hain...

Tuesday, March 8, 2016

Yaaden...

Ashkon main behe gaye jo ansu yaad na rahe,
Dil main sote sote utre vo khwab na rahe,
Darmiya is pagalpan ka dushvar na rahe,
Rahe toh bas ehesas yaar ka, pyar na rahe.....


Happy Women's Day...

Women is power
Women is flower
Women is stronger
Women thinks longer
Women is knife
Women is life
So be aware
Women is "The Universe"...

Monday, March 7, 2016

Din Raat....

Bhor hui aur suraj chand sa chamka,
din main sitaron ko aaram sa damka,

Ek koyal kuhu ke raag sunai,
javani bhi thitkhol ke sehelai,

Nindiya jaja, sajna aaja,
aake aankhon main bar aai,
par na aaya hai na aai vo parchai,

Aks dekh dekh aaina kaanch ho gaya,
vo surur bhi raakh ho gaya,

Phir se koyal ne aavaz lagai,
so ja pagli ab raat chad aai....


Meri Kalam se....

Ek ajnabi si duniya ka maukam dekha,
is manchali si kismat ka pegam dekha,
logon ko nigahon main sareaam dekha,
phir kehete ho abhi kya;
abhi toh kuch nahi bas itminan dekha...


Kabhi Kabhi......

Kabhi khush the hum kabhi nam hai aakhen,
Dastoor insano ka kya khoob nibhake,
Pyar ki kashti main dam lagake,
Baithe hain hum zara gaur farmake.....