Sunday, July 6, 2014

Badlav....


"Badlav zindagi ka niyam hai par is badlav main insan krud ho jaye ye uski haar hai"........ Vriksh pe jab fal lagte hain toh vo chukta hai, ye vinamrata ka pratik hai. Uske vinamr bhav se khush hoke use aur bhi falne fulne ki duayen milti hain. Par jo nahi jhukta, ahem main bhar jata hai vo tut jata hai aur tut jate hain usse jude rishte....... Always Stay grounded ! ... aacha dil aur saccha dil usi se pata chalta hai..... 


Sunday, June 22, 2014

Kuch yunhi.........


Pyar ek hi baar hota hai, ikraar ek hi baar hota hai, 
zindagi milti hai toh didar bhi ek hi baar hota hai



Friday, June 20, 2014

Ufff Ye Iraq.....:-p


Uff ye padhai,
samajh nahi aai,

iraq ki ladai me main thak gai bhai,
mera kya lena dena samajh nahi aaye...

mene toh mast patang socha tha,
main toh dhage main hi fans gai, haye,

Uff ye padhai,
kabhi samajh nahi aai....:-p

     ---------------

Note :- Jab har roz Iraq padhna pade tab yun lagta hai jese kambhakt kya esa hona zaruri tha...!!...Na hota bans na bajti bansuri aur na hi milta iraq ka dekhne ko ye nazara. Chahti hoon vahan sab thik ho jaye, bahal, khushhal ho jaye.....& i know ye padhna meri hi bhalia ke liye hai :-) so thanks & my sincere regards.



Wednesday, June 11, 2014

Zindagi ka Bahaw


Aaj zindagi dubti dekhi mene,
Khwahishen tootti dekhi mene,
Khushiyan palbhar main matam banti dekhi mene,
Khilkhilahat ruasi main tabdil hoti dekhi mene,

Zindagi maut ka vo manzar,
Jhunjhala jata hai dil ko,
Vo chaubis zindagiyan,
Rula jati hain man ko,

Socha tha zamana dekhega,
Lekin yun dekhega ye na pata tha,
Ki astitva bhi nazar nahi aayega tera,
Kya pata tha tu yun chala jayega mera,

Maa ki aans, maa ki pyas,
Roi aaj fut-fut ke,
Ki kaash na jane deti tujhko,
Kash fir se tham leta tu mujhko…..

 Zindagi fir se aa lautkar,
Yun na ja tu chorkar,
Saanse ruki hai teri hi aas main,
Nazren thami hain teri hi pyas main,

Tham le mujhe ek baar fir,
Fir na jane dungi tujhe kabhi kisi raaste,
Zindagi ro-ro kay yun kho jayegi,
Saanse chad-chad ke fir tham jayengi,
Kash main bhi chalti tere hi saath,
Fir na gam hota, na aasss………..



Tuesday, November 12, 2013

Itha sab kyun milta hai tujhse........


kyun ye maddham sansen tumhe aaj bhi dhundhti hai
tham jana bilkul nahi chahti ye aaj bhi ghumti hai
ruki thami si baaten khayalon ko chu jati hai
na chake bhi yaad aati hai
teri har vo baaten, teri har vo yaaden 

chahe anchahe main bhi chahti hoon, 
fir kyun tujhko thukrati hoon
dekha hai mene teri haaton ki lakiron ko
lagta hai meri hi lakiren hain vo

main haira hoon thodi paresha hoon
itna sab kyun milta hai tujhse
haath, lakiren, khwahishen, takdiren
tu kahi vo hi toh nahi 
ek hissa mera hi kahin

janna chahti hoon tujhe aur
kese samajh le ta hai tu meri har saur
tu hamesha yun hi rehena
main kahun ya na kahun 
tu hamesha mera dil sunna

main toh bavli buddhu hoon 
itna nahi samajhti hoon
tu batana, mujhe samjhana
abhi nahi toh kabhi aur sahi
teri aankhon ko janungi 
teri har raah pehechanungi 
abhi nahi toh kabhi aur sahi

abhi haira hoon thodi paresha hoon
ki itna sab kyun milta hai tujhse
haathon ki  lakiren ye khwahishen ye takdiren.


Tum samajh hi na sake..........

tum samajh na paye mere dil ko
na hi main samjh pai shayad
koshish toh bahut ki kehene ki
par kehe na pai shayad

vo nazdikiyan bhi ajib thi
chahat si na lagi mujhe kabi
ruke hi nahi tum, jaldi bard gaye
samjhe hi nahi tum, sab kuch kar gaye

ek jhoka sa laga mujhe
sab ek dhoka sa laga
kyun hua kese hua
samajh hi nahi pai
sab ek mauka sa laga

tum toh shayad khushi hi the
par kash mera dil bhi dekha hota
main toh kehe na saki
par tumne shayad mera dil bhi padha hota.......

Wednesday, May 15, 2013

दुख: है......:-(


दिल में बहुत दर्द है
क्या बताऊँ किसे सुनाऊँ
हँस तो रही हूँ दिखावटी
पर इन आँसुओं को कैसे छुपाऊँ

एक ख्वाहिश है दिल में
जो कुचल दी सबने
आब तो थामे भी थमते नहीं हैं आँसू
बची  है तो बस एक दबी सी आशा

तरस गई
बहुत बरस गई
नजाने कब वो दिन आएगा
जो विशवास जगाएगा
अब डर डर के जीती हूँ
जी जी के पीती हूँ आँसू

दर्द बहुत है दिल में
क्या बताऊँ किसे सुनाऊँ
हँस तो रही हूँ दिखावटी
पर इन आँसुओं को कैसे छुपाऊँ।।