Saturday, May 9, 2020

Maa ka pyar

maa ka aanchal pyar bankar jab barasta hai,
aacha lagat hai,
jab tu pyar karti hai
toh saccha lagta hai.
sari fikr sari pareshaniya dhua ho jati hi
jab tu pyar se muskurati hai.

aur jab hum tut jate hain
tu hausla bhandhati hai .
har koshish main yun saath aa jati hai.
ki sahi raasta dikhati hai
ki aacha lagta hai
ek tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

tu jagati hai, sulati hai, khana bi khilati hai
hamare sare nakhre uthati hai,
na maane pe ek bhi lagati hai
par hamare bhale ke liye hi samjhati hai
aur fir khud bhi ro jati hai
na maa, aacha lagta hai,
kyunki tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

jab din se raat ho jati hai
teri hi yaad aati hi
har thakkan ki ah main
teri hi lori goonj jati hai
ki vo pyar se sehelati apni god main sulati
aur saari thakan cho mantar ho jati.
aacha lagta hai maa
kyunki tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai

ki hum toh hamesha chote hi rahenge
tere saamne muh phulake yun rote hi rahenge
sari baaten tujhe bolenge,
kyunki sab savalon ke javab tu hi toh hai
din aur raat tu toh hai
har mushkil ka hal, har baat tu hi toh hai
tu hai toh sab hai tu nahi toh kuch nahi
maa
kyunki aacha lagta hai maa
tera hi toh pyar hai jo saccha lagta hai maa.