Panktiyan

1.

Is baichaini ka aalam ye hai ki tum nazar bhi na aaye toh kya hua aayne main dekh khud hi ko sanvar le te hain…….
Dil ki dhadkano ko tumne suna bhi nahi andaze aalam ham apna akx dekh hi Sharma lete hain…………..

2. 
Sochte-sochte waqt un hi guzar jayega, kuch na karne ka saval dil main reh jayega....
Waqt pe toh murkh roya karte hai, ham samajhdari se jine ki mukhallaft kiya karte hain....


3.

Zindgi ke nazariye kai hain par zamana sikha deta hai tariqa.....
Koshish waqt be waqt hai lekin anjam dikha deta hai salika.….


4.

Joity ki law bujhne na paye.....
Khamoshi bhi zoron se bol jaye......
Aaj hua hai kal na hone denge.....
Ye vishvas apne aap me le aayen..........
(on delhi rang rape)


5.

Mana asmat bazaron main bikti hai, kahrid ke hi lelo...
Par jaan ki kimat kahan de paoge, bhagvan toh tum bhi nahi ho....


6.

Nazron ka dhoka hai ya nazren hi badnaam ho gai.......
Aate jate sab tok jate hain aaj kal esi bhi kya baat ho gai.......


7.

Khud hi ko khojna manzil khojne se zada jaruri ho gaya.....
Ye toh bhool bhulaiya hai ab rsta banana zaruri ho gaya......


8.

Pyar hona toh zindagi hai, zindagi hi pyar sikha deti hai.......
Kab ho jaye kise pata hai, dhire se bata deti hai........


9.

Apne vahi jo dil ke paar hain…….
Varna chehre toh aur bhi hazar hain…..







3 comments: